Sunday, 12 October 2014

Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai

Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai

Source(google.com.pk)
                         Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
******************************************************
Aaye thy un ke sath nazare chale gaye
wo shab, wo chandni, wo sitaray chalay gaey

Shayad humhary sath bhi wapis na aa sakain
woh walwaly jo sath tumhary chalay gaey

Kashti tarap kay halqa-e-toofan main reh gai,
dekho to kitni door kinare chalay gaey,

Har aastan agarcha tera aastan na tha,
har aastan pe tujh ko pukare chalay gaey,

Sham-e-wisal khana-e-ghurbat se rooth kar,


                                               tum kya gaye, naseeb hamary chalay gaey
                              ****************************************************
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Tou Khuwab Hai Kisi Aankh Ka
Jissy Jaagne Ki Saza Mili
Ye Jo Chand Hai, Ye Azaab Hai
Wo Azzab
Jisne Mila Diya Hai Gulaab Lamhoun Ko Khaak Main


Ye Jo Chand Hai, Ye Jawaab Hai
Kisi Is Tarha Ke Sawal Ka
Ke Jo Aaj Tak Na Utha Kabhi Kisi Zehan Mai


Ye Jo Chand hai
Ye To Baab Hai kisi Dard ka
Kisi Hijr Ka, Kisi Wasl Ka
Kisi Zard Zard Si Fasl Ka


Ye Thaka Thaka Sa Jo Chand Hai
Kabhi Ban Pare To Ye Us Se Pooch Ke Dekhna
Issey Gehri Gehri Si Neend Se
Bhala Kisne a Ke Jaga diya?

Issey Rog Kisne Laga diya?
                           ****************************************************
Kia Pochtay Ho Tere Hijar Me Kia Sochtey Hain
Saja Ke Tum Ko Nighaon Me Sada Sochtey Hain

Tere Wajoud Ko Chho Kar Jo Guzri Hai Kabhi
Hum Us Hawa Ko Bhi Jannat Ki Hawa Sochtey Hain

Ye Apney Zarf Ki Had Hai K Faqat Tera Lehaaz
Tere Sitam Ko Muqaddar Ka Likha Sochtey Hain

Mera Is Shehar-E-Adawat Me Basera Hai Jahan
Log Sajdo Me Bhi Logo Ka Bura Sochtey Hain

Kis Qadar Hum Bhi Hain Nadaan Mohabbat Me
Tere Ikhlaas Ko Hum Teri Wafa Sochtey Hain
****************************************************
Hasratein poori karne ka mazaa kuchh aur hai,
Teri baahon me marne ka mazaa kuchh aur hai;

Pee kar to madhosh sab hote hain aksar,
Teri aankhon se peene ka mazaa kuchh aur hai;

Manzil to paa leti yun to akeli main bhi,
Par tere saath chalne ka mazaa kuchh aur hai;

Hanstey to sab hain mehfilon me humdum,
Par rote huye hasne ka mazaa kuchh aur hai... 
****************************************************
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai

No comments:

Post a Comment