Best Sad Poetry Biography
Soutce(Gogle.com.pk)Biography (Sarguzisht)
Ahmad Faraz Pakistan ke shahar Kohat mai paida huye. walid ka naam Syed Muhammad Shah Barq aur bhaii ka naam Syed Masood Kausar hai. aik dafa Eid per jab Farz ke walid saheb ne on ke liye eid Eid clothes khareeda tu onhai pasand nahi aaya. jab keh onhai woh clothes pasand tha jo keh on ke walid saheb ne on ke bhaii ke liye khareeda tha. iss waqia ko onho ne shairi mai bayan ki, jo keh on ki pehli sad shayari thii
Laye hain sab ke liye kapre sale se
Laye hain hamare liye kambal jail se
Ahmed Faraz kehtay hai keh woh mathematics aur geography mai kamzor thay balkeh abhi bhi woh map aur road ko yaad nahi rakh paatay. lehaza onho ne apne waldain ko kaha keh woh apne aik friend se mathematics padhna chahtay hai.
Ahmad Faraz ka taluq Kohat ki muaz'ziz family se tha. baad mai woh apni poori family ke saath Peshawar chalay gaye. Edward College Peshawar se taleem hasil ki aur phir Peshawar University se Urdu mai Masters kya. College ke zamanay mai woh Faiz Ahmad Faiz aur Ali Sardar Jafri se kafi mutaa'sir thay aur wo Ahmad Faraz ke role model thay.
. .
Sad Urdu Poetry by Ahmed Faraz
Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,
ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain,
Shayad aa jayen kabhi chashm e kharidar main ham,
jan o dil baich k bazar main rakh dety hain,
Zikr e janaan main yeh duniya ko kahan le aye,
log kiun mas’alay baykaar kay rakh dety hain,
Zindagi teri amanat ha magar kya keejay,
Log yeh bojh bhi thak har k rakh dety hain,
Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz,
Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain,
Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay
Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay
Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay
Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay
" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay
Sad Poetry Of Ahmed Faraz
2. Ho Gayi Rukhsat
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad
Note: please iss page per sirf sad poetry of ahmed faraz hi post kare, koi aur poetry post na kare.
Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay
Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay
Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay
Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay
" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay
Sad Poetry Of Ahmed Faraz
2. Ho Gayi Rukhsat
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad
Note: please iss page per sirf sad poetry of ahmed faraz hi post kare, koi aur poetry post na kare.
No comments:
Post a Comment