Monday, 13 October 2014

Kaha se Layen Fursar Hum

Kaha se Layen Fursar Hum Definition

Source(Google.com.pk)
(1)
Milna hai Tumse, Khone se Pehle,
Kehna hai Tumse, Ruthne se Pehle,
Ruthna hai Tumse, Jaane se Pehle,
Aur Jeena hai Tumhare Saath, Marne se Pehle..

(2)

Apne Aasman se Meri  Zameen Dekh lo,
Tum Khwab  aaj koi Haseen Dekh lo,
Agar aazmana hai Aitbar ko Mere to,
Ek Juth Tum Bolo aur Mera Yakeen Dekh lo..

(3)

Wo ‘Mili Bhi to Sirf Khuda Ke Darbaar Mein’,
Aab Tum hi Batao..
Yaaron..
Hum ‘Ibaadat Karte Ya Mohabbat’..!!

(4)

Kaha se Layen Fursar Hum,
Gham-e-Duniya ke Liye…,
Jo Jaagein to Wo Khayalon ke Malik,
Jo So Jaayen to Khwaabon ke Malik…

(5)

Aapki Yaad hi Meri Jaan hai,
Shayad Iss Haqeeqat se Aap Anjaan hai,
Mujhe Khud nahi Pata ki Mai Kaun hu,
Aapka Pyaar hi Meri Pehchan hai..

(6)

Dil Nahi Lagta Aap ko Dekhe Bina,
Dil Nahi Lagta Aap ke Bare Me Soche Bina,
Aankhe Bhar Aati hai Yeh Soch kar,
Kis Haal Me Hoge Aap Hamare Bina..!!

(7)

Aapko Humse ye Shikayat hai ki,
Hum Har Kisiki Dekh Kar Muskurate hai,
Par Na Samaj he Aap Kya Jaane,
Hume to Har Chehre Me aap Nazar Ate hai..

(8)

Use Baarish Pasand thi, Mujhe Baarish me Wo..
Use Hasna Pasand tha, Mujhe Haste Hue Wo..
Use Chup rehna Pasand tha, Mujhe Boltey Hue Wo..
Use Sab Kuch Pasand tha, Or Mujhe Sirf Wo..

(9)

Wo Puchhti hai Bar - Bar ki:
Kya Zindagi hai Or Kya Maut hai..??
Aaj Use Bata Du..,
Use Paa Liya to Zindagi hai,
Aur
Use Kho Diya to Maut hai..!!

(10)

Koi To Khaas Baat He Aapke Baare Me,
Jo Hum Isse Badi Shiddat se Nibhate hai,
Warna Hum to Un Logo me se hai,
Jo Dusron ke Khwabon me bhi,
Aapni Marjii se Jatey hai..

(11)

Kuchh Log Pyaar Karte hai Nibhane Ke Liye,
Kuchh Log Pyaar Karte hai Bhul jane Ke Liye,
Pyaar Karo To Esa Karo ke Dono Tadpe,

Ek DUsre Ke Paas Aane Ke Liye..


(12)

Rasmo Riwazo ki jo Parwah karte hai,
Mohabbat Me Wo Log Gunah karte hai,
Ishq to Wo Junoon he…
Yaaron..

Jisme Dilwale Apni Marzi se Khud ko Tabaah karte hai..


(13)

Jiyo Itna Ki Zindagi Kam Pad Jaye,
Haso Itna Ki Rona Mushkil ho Jaye,
Kisiko Panaa to Kismaat ki Baat hai,
Par Chaaho Itna ki,

Khuda Dene Par Majbur Ho Jaye..!!


(14)

Pyaar Wo nahi Jisme Jeet or Haar ho,
Pyaar koi Cheej nahi jo har Waqt Taiyaar ho,
Pyaar to Wo hai Jisme kisi ke Aane ki Ummid Na ho,

Lekin Fir Bhi Ankhon me ‘INTEZAAR’ ho..


(15)

Uske Saath Rehte Chahat si Ho Gayi,
Usse Baat Karna Hume Aadat si Ho Gayi,
Ek Pal Na Mile Toh Bacheini Si Lagti hai,

Dosti Nibhate Unse Mohobbat Ho Gayii..


(16)

Hamne Chaha Hai Jinhe Wo Lakhon Me Ek Hai,
Hamne Janaa Hai Jinhe Wo Dil ka Bhi Nekk Hai,
Unki Diwaani To Saari Duniya Hai,
Par..,

Hamari To Duniya Hi Wo Ek Hai..


(17)

Meri Nazar ki TALAASH Ho Tum,
Mene Jo Chahaa Wo Pyaar Ho Tum,
Tu Hai To Duniya Hai Meri,
Kaise Kahu ki Sirf Pyaar Nahi,
Meri ‘JAAN’ Ho Tum..!!

(18)

Teri Aawaz Tere Roop ki Pehchan hai,
Tere Dil ki Dhadkaan Mere Dil Ki Jaan hai,
Na Sunu Jis Roz Teri Baatein,

Lagta He Us Roz Ye Jism Hi BeJaan hai..


(19)

Tum Door Ho Aur Paas Bhi,
Tum Hansi Ho Aur Aansu Bhi,
Tum Mere Mann ki Shanti ho,
Aur Dil ki Bechaini Bhi,
Tum Meri Amanaat ho,

Aur Ek Sapnaa Bhi..!


(20)

Baan ke Ehsaas Apke Saath he,
Baan ke Ummid Apke Paas he,
Kar Sako to Mehsus Kar ke Dekho,

Hum to Apki Har Saans ke Saath he..


(21)

Meri Diwaangi ki koi Hadd Nahin,
Teri Suraat ke Siva Kuchh Yaad Nahin,
Mein hu Phool Tere Gulshaan Ka,

Tere Siva Mujh pe Kisi ka HAQQ Nahin..


(22)

Anjaan Saathi Ka Dil ko Intezaar Hai,
Pyaasi he Ye Aankhen Dil Bekaraar Hai,
Aapka Saath Mil Jaye to Har Raah Aasaan ho Jaye,

Shayad Isi Ehsaas ka Naam Pyaar Hai..


(23)

Dard to Humne Intezaar me Dekha hai,
Chahat ka Asaar Pyaar me Dekha hai,
Log Dundhte hai Mandir-Masjis me Khuda ko,

Humne Apney Pyaar me Dekha hai..


(24)

Chaah kar bhi Judaa na reh sakoge,
Ruth kar bhi Khafaa na reh sakoge,
Hum Pyaar hi kuch aise Nibhayenge,
Ki aap Hamare Bina Ek Pal bhi na reh sakoge..

(25)

Mohabbat aisa Suhana Safar hai,
Jinki Bahut Aasaan Dagar hai,
Gum ho jate hai Haseen Rangeeniyo mein,

Fir Unhe Duniya kaha Khabar hai..!!


(26)

Tumko Me Bahut Pyaar karta hu,
Magar Zuban se keh nahi Paata hu,
Halat Dil ki aab ye ho gai hai,

Ki Tumhare Bagair raha nahi jata..


(27)

Nigaahon me jabse Chha gaye ho Tum,
Mere Dil me Umange Chhane lagi hai,
Jumkar Utar aai Dil me Bahaar,

Meri Mohabbat bhi Muskurane lagi hai..


(28)

Dil me badi Tamanna lekar aaj,
Tum ko Nigahon se kiya hai Isharaa,
Hum to ho gaye hai Sanaam Tere Deewane,

Aab kya Iradaa hai Bolo Tumhara..!


(29)

Agar Saara Jahan Kagaz ka ho,
Aur Saare Samander me Bahe Shyahi,
Me Har Jagah bas yahi Likhunga..,

Muhje Tumse Pyaar hai.. Muhje Tumse Pyaar hai..


(30)

Saari Duniya ke liye Tum sirf Ek Insaan ho,

Par kisi Ek Insaan ke liye Tum Uski Saari Duniyaa ho..


(31)

Achche Nishane Baaz ho Tum,
Thik Nishane pe Tune Teer Mara,
Duniya se Har Baaji Jitne wala,

Aaj Tumse Aapna Dil Haraa..


(32)

Jab bhi Dekhta hu Tumhe,
Lagta hai ye Din Naya hai,
Nigahein Tumko Dekhna Chahti hai,

Mere Dilko ye kya hua hai..!!


(33)

Waqt ke Saath Sab Kuch Badal Jata hai,
Har Yaad Dhundhali ho Jati hai,
Par Aapki Tasveer Dil me Uss Jagah Rakhi hai,

Jaha Saansein bhi Puchh kar Jati hai..


(34)

Zindagi mein Kisi Apne ka Saath Kaafi hai,
Hathon mein Unka Hath Kaafi hai,
Wo Door ho ya Pass Fark Nahi Padta,

Pyaar ka to Bas Ehsaas hi Kaafi hai..


(35)

Log Kahete Hai Ki,
Hatho Ki Lakir me Kami Ho To Taqdeer Mein Mohabbat Nahi Hoti,
Par Sachchai To Ye Hai Ki,

Jo Hatho Mein Ho Agar Apne Pyaar ka Haath To Lakiro Ki Bhi Jarurat Nahi Hoti..


(36)

Kisi na Kisi pe Kisiko Aitbaar ho jata hai,
Anjanaa Koi Shakhs Yaar ban jata hai,
Khubiyo se nahi hoti Mohabbat Hamesha,

Khamiyo se bhi Aksar Pyaar ho jata hai..


(37)

Sapno ki Duniya mein Hum Khote gaye,
Hosh mein the Fir bhi Madhosh hote gaye,
Jane kya Jadoo tha Us Ajnabi Chahere mein,

Khud ko bahut Roka Fir bhi Uske hote gaye..


(38)

Udas Lamho ko na Saath Rakhna,
Tufaan me bhi Khud ko Sambhal ke Rakhna,
Mere Liye Anmol hai Apki Zindagi,

Apne Liye Na Sahi Mere Liye Apna Khayal Rakhna..


(39)

Pyaar Barish ka Naam Nahi ki Barse or Thaam Jaye,
Pyaar Suraj Nahi ki Chamke or Doob Jaye,
Pyaar To Saanse He Jo Chale To Zindagi,

Or Ruke To Mout Ban Jaye..


(40)

Har khwahison ka Raaz-Dar Khuda hota hai,
Har Kisi ka Andaz Juda hota hai,
Chand ko to Chahne Wale to Bahut hai,
Kaha se Layen Fursar Hum
Kaha se Layen Fursar Hum
Kaha se Layen Fursar Hum
Kaha se Layen Fursar Hum
Kaha se Layen Fursar Hum
Kaha se Layen Fursar Hum
Kaha se Layen Fursar Hum
Kaha se Layen Fursar Hum
Kaha se Layen Fursar Hum
Kaha se Layen Fursar Hum

Kaha se Layen Fursar Hum

No comments:

Post a Comment